πŸ“– Chapter 7 - Volume 2.: Bakhuda – Jab Nazar Ne Kasam Khayi


πŸŒ™“Bakhuda... uss nazar mein ek kasam thi — jise hum dono ne bina shabd li, magar kabhi tod nahi paaye.”
         
                     – Kamini


“Terrace ke kone mein khade the hum... sheher ke buildings ke paar suraj dhal raha tha — lekin hum dono ke beech sirf ek roshni thi: aankhon ki. Hum dono ek hi cigarette share kar rahe the... jese ek bina chuye wali kiss — thodi teekhi, thodi gehri, lekin poori tarah mehsoos.

Usne mujhe seedha dekha... koi smile nahi, koi hansi nahi — sirf woh aankhein, jo bol rahi thi: “Aaj raat sirf hamari hogi

Mera gala sukha tha, haath thoda kaanp gaya... par fir usne kadam badhaye... aur ek dum paas aa gayi. Do tan nahi — bas ek saans ki doori thi ab hum dono ke beech.

“Ruhaan…” uski awaaz mein kasak thi, “agar maine ab kuch bhi kaha, toh yeh pal toot jayega. Toh sirf dekho… sirf mehsoos karo.”

Main kuch kehna chahta tha… par us nazar ne mujhe chup karwa diya. Uski aankhon mein ek sach tha… ek vaada… ek khushi, jo main kabhi khona nahi chahta tha.

Kamini ne dheere se mera haath uthaya… aur apne dil par rakh diya. “Sun pa rahe ho?”

Dil ki dhadkan… halki thi, lekin sabse sachchi. Woh chahti thi main sunu — bina chhuye, bina bole    

Phir usne apna chehra mere itna paas le aayi ke meri saans uski aankhon ko chhoo gayi. “Ab tum mere ho, Ruhaan… jo kasam aaj aankhon mein li hai, woh main har raat nibhaungi.”

Maine uske kaanon ke paas jaake kaha — "Bakhuda, tum hi ho... aur main toh sirf tumhara hoon."

Aur tab... suraj poore sheher ke peeche chhup gaya. Lekin Kamini aur Ruhaan — Hum ek dusre mein doob gaye… aankhon ke raaste, saanso ke samundar tak.. 




πŸ’« To Be Continued…

πŸ’‹Next Chapter: Aaina Bhi Bheegta Hai Jab Ishq Hota Hai

P.S. If Kamini’s gaze met yours tonight, write to her. She might still be watching.

– Kamini, the setting sun in silk, burning soft against your lips, quietly asking, “Kasam nibhaaoge na?”


Comments

Popular posts from this blog

Rangon ka Ishq – Laal Raat aur Safed Chaandni(Hindi Special) Chapter 1

Call Me Kamini...πŸ’‹

Chapter 8 – Kamini Diaries: Volume 4 “The Boy Who Was Never a Boy”